part 26

1.1K 27 2
                                    

Salman Sahib ko DJ ke musalsal ronay par kufat honay lagi thi. Jab tak woh waapas hue, DJ ro rahi thi. Us ke aansoo tab thay jab Ittehad Airlines ki woh Pakistani nasal afisaar unke paas aayi aur

shaistagi se unko mukhatib kiya.

"Madam! Aap log please apne documents aur laptops suitcases se nikal kar hand carry mein rakhain, aapka samaan gum bhi ho jaaye to kam az kam documents mehfooz rahain. Lein

ayein."

"Evein hi samaan gum ho jaaye?!" Hathieli ki peeth se aansoo saaf kar ke DJ ghusse se boli. Woh zidti thi. "Hum ne hand carry mein itna bojh nahi uthana. Ma'am! Yehi behtar hai, kyun ke kabhi kabar samaan bhi gum ho jaata hai. Kahi yeh na ho ke aap ke baad aza

masle se do char hon."

Woh Turk Airlines mein kaam karne wali ek Pakistani larki thi aur us ki pehli dafa bein ul-aqwami flight

paish nazar keh rahi thi. Aur hawa mein bhi jagah magar DJ ud gayi.

"Nahi, hum ne itna bhaari hand carry nahi uthana. Plane mein to aap ko uthana pare ga." Afisaar ki hui

barhami mein badalne lagi.

"Plane mein jaane tak to uthana hi pare ga."

"Phir to Turkey mein aap par Allah hi rahem kare! Woh pair pakhti chali gayi to DJ ne apni moturam aankhon aur fat

muskurahat ke sath haya ko dekha aur ungli se ainek peeche ki."

Insaan ko koi cheez nahi hara sakti, jab tak woh khud nah haare maan le. Haya be-ihtiyaar hans di. Use DJ achi lagi thi.

Flight mein, unho ne ek hi qataar mein seats mili. Haya, aisle ke daaye taraf khidki par bethi hui, aur DJ baye taraf, darmiyani seat khali thi.

Kya maza aayega, sochti rahi Haya! Agar is seat par koi handsome aur charming aadmi aakar baith jaaye... DJ...

Alfaaz adhoore hi reh gaye.

"Haya ghair aaram mahsoos kar ke aur ziada kharki ki taraf khisk gayi aur Khadija mukhalif simt. "Mujhe Usman Shabir kehte hain, Sheikh Usman Shabir." Apni bhaari awaaz mein woh khushdil se goya hue. "Nice! Haya bazahir apne chhote se golden clutch ko khol kar kuch talash karne lagi. Yeh wahi clitch tha jo Dawar Bhai ki mehndi par usne golden lehenge ke saath liya tha.

"DJ ne magazine utha kar chehre ke samne phaila diya.

"Main Turkey se aaya hoon, darasal wahi rehaish pezaar hoon, meri biwi aur beta bhi wahi rehte hain." Haya mazeed apne purse pe jhuk gayi aur DJ ne magazine chehre ke itna qareeb kar liya ke uski naak safaat ko chhoone lagi.

"Magar woh mera beta nahi hai, jaanti ho woh kiska beta hai?"

Mazeed nazar andaz karna bekaar tha. Haya ne rukh Usman Shabir ki taraf mor liya aur DJ ne bezaari se magazine neeche kar diya.

"Aap bataiye, kis ka beta hai woh?"

Usman Shabir ko shayad barson se kisi suna'a ki talash thi. Woh apni dastaan hayaat foran hi shuru kar baithe. DJ musalsal jamaat rok rahi thi aur hayaati mehsoos kar rahi thi. Woh kal subah ki jaagi hui thi aur ab us subah ke saat charr baj rahe the. Upar se jahaz ka safar! Usne DJ ke samne zahir nahi kiya tha ke woh pehli baar jahaz mein baith rahi, aakhir DJ kya sochti ke kaisi ladki hai, kabhi hawai safar hi nahi kiya. Ab kya batati ke kabhi koi aisi surat hi nahi ban saki.

Is sab par mustazad un sahib ki al-manak dastaan, jo mukhtasir ikht ho aise thi ke woh aur un ki begum arsa tees saal se Turkey mein rehaish pezaar the. Chunkeh aulaad nahi thi is liye unhone Usman Sahib ke ek kuzan ka beta goud liya tha. Woh beta be jalad pyaar se khaas bigad chuka tha, so is surathal ko sanwarnay ke liye unhone ke khouh mein rehaish pezaar apni bhainji se us ka rishta kar diya tha. Jis pe aathviin fail bhainji sahiba bohat khush aur beta bohat naraz tha aur us se pehle ke woh apni Pakistan aamad ki wajah batai menu cards aagaye.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now