part 47

510 26 0
                                    

"Choolha kyun band kar diya? Abhi pakne detein, mein zyada kadhi hui chai peene ka aadi hoon." Usi pal choolha band hua toh

Woh chonka.

"Mein ne nahi band kiya, yeh auto-matic hain. Har pandrah minute baad das minute ke liye band ho jaate hain. Ab das minute

baad khud hi jal uthega."

Yeh acha kaam hai. Usay jaise koofte hui. Phir aakhri bar tan khangalte huye woh baar baar choolhay ko sochti nazron se

dekhata raha. Jab bar tan dhal gaye toh haath dho kar choolhay ki taraf aaya.

Bar tan dhal gaye tumhare, ab tumhari zindagi ke agle masle ko hal karte hain uske baad kaun sa masla hai woh

bhi batao." Woh choolhay ko phir se jalane ki koshish karne laga.

Meri zindagi ke masle tootay cabinet ya thande choolhay ki tarah nahi hain, jo tum hal kar lo.

Achi bhali zind gine tumhari, kya masla hai tumhe, siwaye is bekaar choolhay ke, koi toh hal ho ga is ka bhi. Woh

nichla lab dabaye jhuk kar soch se chhed chhaad kar raha tha.

Is ka koi hal nahi hai.

Yeh namumkin hai ke kisi masle ka koi hal na ho. Thahro! Mein kuch karta hoon. Woh pano ke bal zameen par betha aur jhuk kar

neechay se choolhay ka jaiza lene laga.

Jihan! rehne do!

Meri car se mere atool box le aao. Dashboard mein pada hoga. Tab tak mein usay dekhta hoon. Woh jeans ki jeb se chaabiyan ka guchha nikal kar is ki taraf barhaye, gardan neeche jhukaye choolhay ke ard gird jaise kuch talash kar raha tha.

Woh jihan hi kya jo kuch karne ki than le toh phir kisi ki sune. Usay metro mein apne jute ke tasmein kholta jihan yaad aya tha. Us ne muskurahat daba kar haath barha kar chaabi pakri aur darwaze ki taraf barh gayi.

Jihan ki choti safed kisi car hostel ki seerhiyon ke aakhri zeene ke samne khadi thi. Us mein se tool box

nikalte hue be ikhtiyar haya ne socha tha ke woh itna ameer nahi jitna woh samajhti thi, ya phir shayad Europe mein rehne wale

rishtedaroon ke bare mein aam toor pe yahi hota hai ke woh khaas se daultmand honge, jabke jihan aur phupho us ke bar aks mehnat kash, working class ke afraad the.Woh waapas aayi toh woh chhuri se hi shuru ho chuka tha aur pipe, socket aur pata nahi kya kya khole betha tha., Chand minute woh khamoshi se sliib ke saath tek lagaye khadi usay kaam karte dekhti rahi. Woh daaiin ghutne aur baaiin panje ke bal zameen par betha pipe ke dahane pe pich kis se kuch khol raha tha. Tool box us ke paon ke paas khula

Pada tha.

Chand sabr aazma pal bite aur phir woh fatihana andaaz mein haath jharate hue utha.

Yeh chotha choolha jo kone mein hai, yeh fix kar diya hai, ab yeh khud se nahi bujhega. Usne kehne ke sath hi amli muzahira ke tor par choolhay ko jala diya aur phir chai ki kettle usi pe rakh di.

Yeh jo tumne harkat ki hai na Jihan Sikandar! Yeh ghair qanooni hai. Agar kisi ko pata chal gaya toh ....?

Spanji mein smoking bhi ghair qanooni hai, magar students karte hain na? Drinking bhi ghair qanooni hai, students wo Bhi karte hain aur kamron mein chhote choolhay aur microphone aur speaker khana bhi ghair qanooni hai, woh bhi rakhte hain na, so tum

Bhi apni marzi karo! Woh counter se tek lagaye khada badi lapar wahi se bola toh woh hans di. Usay apna survey form yaad Aaya tha.

"Tum Spanji se parhe ho jo itni maloomat hain?"

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now