part 68

374 23 2
                                    

"Nahi, tum batao kya haal hai?"

"Haan, abhi main lounge mein betha tha to woh Furqan mamu ki beti aayi thi."

"Arm?" Usne zara herat se sawaliya abro uthai.

"Haan wahi. Tumhara phone aur purse mein rakha tha, usne phone utha kar mujhse kaha ke use ek call karni hai, abhi paanch minute mein phone laadegi, magar ab."

Usne clai pe bandhi ghari dekhi. "Ab main minute hone ko aaye hain magar woh wapas nahi aayi. Main ne socha tumhein bata doon."

"Uf! Tum ne use mera phone kyun le jane diya?"

Jo Aba Jihan ne bechargi se shanay uchkaaye.

Usne mujh se ijazat nahi mangi thi aur main use kaise rok sakta tha? Mujhe to Furqan mamu ki family se waise hi bohat dar lagta hai."

"Kyun?" Woh chonki.

"Kyun ke woh surkh mirch ka istemal zyada karte hain."

Woh gehri saans le kar bola to woh beikhtiyar hans di aur yeh turki se anay ke baad pehli dafa tha, jab woh yun poore dil se hansi thi.

"Surkh mirch ka istemal hamein bhi aata hai. Tum idhar hi thehro, main zara Arm se phone le aaoon." Aur aaj to waise hi Arm ki taraf uske bohat se hisaab ukatte the.

"Acha. Main intezar kar raha hoon." Woh muskurakar kehta sofa pe beth gaya aur woh bahar chali aayi.

Taiya Furqan ke lounge mein sabhi mojood the, siwaye Arm aur Sonia ke. Taiya Aba bohat pare malaal andaaz mein nafi mein sir hilaate kuch keh rahe the, shayad aaj walay waqie ka tazkra, jab Haya ko aate dekha.

"Aao aao beta." Unhone muskurakar apne saath sofa pe bethne ka ishara kiya aur phir Sonia ko awaaz di.

"Sonia! Haya ki chai bhi le aana."

"Ji! Acha Aba!" Sonia ne jo Aba kitchen se awaaz lagayi."Nahi Taiya Aba! Main chai nahi piyungi, bas ab sone hi jarahi thi," woh be takallufi se kehti taiya Aba ke saath sofa pe aayi baithi.

Unki gharailu siyastain aur waqti tand o tez batain ek taraf, Taiya Furqan unse pyaar bhi bohat karte the aur aaj Mahwash ki badtameezi par jahan woh dukhi the, wahan unhein Haya ki qadar bhi aayi thi.

"Aba, Sogayee tumhare?"

"Ji, kab ke. Main bas zara Arm se phone lene aayi thi."

"Phone kyun?" Taiya Abbaari tarah chonke. Saima Tai bhi thaktak kar use dekhne lagi. Arm ko koi call karni thi to woh mera phone lekar gayi thi, magar abhi mujhe apni friend ko message karna hai, so so chafone le loon," woh bohat sadgi se keh rahi thi.

Taiya ke chehre ka rang foran hi badal gaya tha. Narmi ki jagah sakhti ne le li thi.

"Arm... Arm," unhone buland awaaz mein pukara.

"Ji Ayi!" Woh do patta sanbhalte, bhagti hui aayi, magar Haya ko bethay dekh ke uska rang ek dam se fika hua.

Haya ka phone usse wapas do. "Taiya ne use kadi nigahon se ghurte hue, bade zabt se kaha.

"Hajji, woh Fiza ko message karna tha to..." woh hakla gayi. Taiya itni shola bhar nigahon se use dekh rahe the ke woh ruki nahi. Ulte qadamon waapas mudti, aur chand hi lamhon baad phone laakar Haya ko thamaya aur saath hi ek kina toh z nigaah us pe daali thi, goya kacha chaba jana chahti ho. Woh jo Aba sadgi se muskuradi.

"Thank you, main chalti hoon, aap log chai anjoy karien," woh phone le kar wahan se uth aayi aur woh jaanti thi ke ab chai unhein khak enjoy karni thi.

Waapas lounge mein aate hue usne mobile ka 108 check kiya. Message aur call logs bilkul clear the. Sara call record gayab.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now