120

455 18 4
                                    

Is sab mashghalon ka asar uski parhai pe zaroor pada. Woh kabhi bhi bohat laiq qisam ka talib ilm nahin ban saka. Uske grades hamesha medium rahe. Woh zehni tha, magar usko parhai mein dilchaspi nah thi. Dusre kaam usay zyada dilchaspi lagte thay.

Uski chaudhween salgirah betay zyada waqt nahin bita tha. Jab Furqan mamoon ne ittila di keh woh aur Sulaiman mamoon Turkey aarahe hain. Khoon, pani se gara hota hai, usne ye dekh lia. Main purani talukat bhula kar unke anay ki tayyariyon mein lag gayi. Unhon ne jaise dil se mamoon ko maaf kar dia tha. Unke khayal mein mamoon unke is sawal ke jawab mein yahan aa rahe thay jo chand roz pehle unhon ne phone par unse poocha tha ke agar woh aur Jihan, Sikandar Shah ko le kar Pakistan... aayein aur unka muqadma larain to kya mamoon unko moral support denge? Mali madad ka ek tukka nahin chahiye tha unhe, bas mamoon ka saath darkar tha. Farqan mamoon jo abba khamosh ho gaye thay, phir unhon ne bataya ke woh aur Sulaiman kuch din tak aayenge, phir is bare mein baat karenge.

Mein ki aur baat thi, magar uska dil apne mamoon se itna bad zann ho chuka tha ke usay unke bare mein koi khushfahmi nahin rahi thi. Woh khamoshi se apna kaam karte hue mammi ko suntar hata jo ab uth'tay beth'tay kehti rahin.

Hum Pakistan wapas zaroor jaenge, itne baras beet gaye hain, log bhool gaye hoon ge. Ab ye jalawatni khatam honi chahiye. Bhai zaroor hamara saath denge. Mere bhai bohot...

aur mammi dhond dhond kar mamoon ki khubiyan ginwati rahin. Usne bohot arsey baad unhe aise khush aur ummeed dekha tha. Woh unhe keh nahi saka ke apne masail ke hal ke liye ab dusron ki taraf nahi dekhna chahiye. Unhe apni kahi baat yaad rakhni chahiye, magar mammi bhaiyon ke narm rawayye dekh kar unhe dusron ki fehrist se nikal kar apno mein le aayi thi.

Is mein himmat nahin thi ke ye sab keh kar maa ko maghmoor kare. Abba ka hona, na ho na barabar tha, magar mammi uske liye sab kuch thi. Unki mushqat, mehnat, qurbaniyan aur ek kamzor aurat se ek mazboot aurat mein irtiqaa ka amal jo usne umr ki manzilein tay karte hue dekha tha. Usne bohot dua ki ke mami rukhi na hon, magar usay lagta tha ke

mein ghalat logon se umeed laga kar dukhi zaroor hoon ge. Lekin jo hua, woh usne tasawwur bhi nahi kiya tha.

Dono mamoon aahi gaye. Do peher ke khane ke baad jab woh bartan utha kar unhe kitchen ke sang mein dhoone ke

baray mein...

Main aur mamo ko lene ja raha tha to mammi aur mamoo ke darmiyan honey wali guftagu usay saaf sunai de rahi thi.

Bilkul main bhi yehi chahta hoon ke ab tum log Pakistan aa jao. Sofa pe bohat crowbar se bethe rahay raab daur se Furqan mamoo keh rahe thay. Unki baat pe kitchen mein khara Jihan to ek taraf, mammi bhi hai hay zada rah gayin. Itni jaldi mamoo maan jayenge, un dono ne nahi socha tha.

Tum log hamare saath aakar raho. Woh sab tumhara hi hai Sabeein! Purani baatein bhool jao! Agay ki socho. Jihan ki puri zindagi pari hai. Woh bhi wahan parh le ga, phir high school ke baad hum usay bahar bhej denge, kisi bohot achi university mein. Aakhir woh hamara beta hai aur phir hamara damad bhi to banega.

Furqan mamoo ne kehte hue ek nazar Suleiman mamoo par dali. Unhon ne ta'eedi andaaz mein sar ko isbat mein junbish di. Woh aise hi thay, baray bhai ke adab mein unki har baat ki taeed karne wale.

Tum Jihan ki zindagi ka socho Sabeein! Usko ek behtareen mustaqbil do, hum uske baray hain, hum uske baap ban kar palenge.

Baap ban kar? Woh bilkul thaher gaya. Usne naal band kar diya. Lounge mein khamoshi thi, magar ek awaz ab bhi aa rahi thi. Jo band naal ke munh se qatre tapakne ki hoti hai, jo uski maa ki saari umeedon, khawabon aur tawaqoat ke behein ki thi. Usay mamoo ki baat theek se samajh mein nahi aayi thi, magar kayi din se khud ko behlane wali uski maa foran samajh gayi thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now