Chap.5

149 6 0
                                    

Woh gussy or bebasi se wapis apni jaga par jate hue bol raha tha

"Saadi... Saadi faris ka bhanja 11

Jawaherat ne hairat sey abru uthaye

Nosherwa ka khana haram ho chuka tha

"voh Har Hafte Faris se milane aata hai "

Hashim gehri Soch Mein Duba Aankhon Ki Putliya sukere kisi na mehroom jaga ko dekh raha tha

" Ye to mamul ki bat hai Magar voh Mujhe Bhi Apne aaspaas Najar Aaya Hai Ek Do dafa bilkul random Jagah per Jahan uska koi Kam bhi Nahin tha Ye ladka kuch gar bar hai "

Hashim Pahle Se Jyada disturb lag raha tha

"Hashim mujhe is Sare masale Ka Hal batao "

Wo mustarab si boli

"Mummy bhai Sambhal lega na"

Nosherwa bola magar Hashim Ne Suna hi nahin uska dimag Teji se kam kar raha tha usne Fiyona ko Awaaz Di aur use do Dawat namy lane ko kaha

" Bahut arsa ho gaya main use nahi Mila shayad ded saal ho gaya ab use meri party main ana chahie "

Woh Jaise koi lahe Amal tarteeb de raha tha

"Oh please Agar voh aaega to main party mein nahin Hoga main use apne ghar mein nahin bardasht kar sakta"

Nosherwa ka mood bigar chuka tha

"mene use university k 5 saal bohot bardasht kiya hai ab or nahi "

Phir yaka yak uske tasurat badle Aur voh khada ho gaya

Jawaherat ne lounge ki simt dekha shehreen udhar he a rahi thi nosherwa Ka Chehra ekdam chamakne Laga Jawaharat ne muskura kar ek gehri sans le kar dono ke chehro ko dekha

"Aap kab ayi Mujhe to pata hi nahin Chala "

nosherwa ko jase apne ruff huleye per sharmindagi hui thi

"Badqimati se ye Meri beti ki maa hai aur uski Saalgirah ki taiyari ke liye Yaha yakinan early morning hi ayi hongi "

Hashim muskura kar kehte hue Utha or mur kar usy dekha

Wo be zari se Hashim ko bina jawab diye Nazar andaz karte jawaherat ki taraf mutwaj ja hui

mene setting arrangement final karli hai ap dekh le jega

Phir nosherwa ko dekh kar takalufan
muskurai Hashim tab tak bahar nikal chuka tha

"List main or bhi 2 Naam add karne hai Saadi Yusuf or zumar Yusuf "

Jawaherat usy sard muskurahat ke sath teshandagi ki

Shehreen Zara chonki

"SAADII.....faris ka bhanja?

"Ap usy janti hai... "

Nosherwa ko bura laga Wo abhi tak khara tha

"Hmmm kuch ziyada nahi "

Wo sambhal ka beniyaz Nazar aaney lagi phir jab jane k liye palti to Jawaherat ne awaz di...

11 Kya tum sham main aao gi? 11

" Nahi "

Wo bahar ja chuki thi

Jawaherat ne nazakat se nosherwa ko dekha or apni hath ki anguthi par ungli pherte hue boli

11 wo ek din main 2 bar bhi is ghar main aana pasand nahi karti "

Nosherwa chonka phir khafeef sa sar jhatka or khara ho gaya

"Ye Saadi logo ka restaurant yaha he hai na

Wo bat badalne ke mehez bola ya phir wo such main yahi bat karne wala tha

Jawaherat ne Zara se Shane uchka kar pani ka glass labon se laga liya

__________________

Assalamualaikum my presious readers I am sorry for late update I was beasy because of my exams . Thank you so much to @stringsofpalak who send me this beautiful edit .
I hope you guys like it plz vote and comment and show your love because it encourage and help me to know you guys like my work or not.


Take care Allah hafiz 🥰!!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English حيث تعيش القصص. اكتشف الآن