Chap.9

105 7 3
                                    


Khilji Sahab ne ek hamwaar Nazar us per Dali

"Faris Thoda Sabra Karo Ya Tumhari zindagi Ka Aham Tareen Din Hai 4 Sal Se Tum jail Mein Pade ho aaj Tum Ya to reha ho jaaoge ya fansi chadhoge is liye tum bas Dua Karo "

"Acha "
usne davedari se Sar hilaya

"lekin yah abhi kitni der aur bolega"

Khilji Sahab Ne gehri Sans Li

"jitni der bhi bolega Tumhen usko sunna hoga "

Faris gehri Sans Lekar Piche Ho Gaya

"Apne Hi bayanad Se FIR Jaane aur bahut Se gavahan Ke peshe Nazar na hone ke baes aadalat ke liye Faisla karna Aasan ho gaya hai"

jaj sahab ki awaaz Gunj rahi thi

"Faisla ho gaya hai lekin vh Kisi bhi Surat reasonable doubt se mustfa nahin hai isliye Adalat Hamesha Ki Tarah shak ka fayda muljim Faris taheer ghazi ko hi dene ja rahi hai"

Faris ab Munh Mein musalsal ko chabata Khidki Se Chhan kar Aati dhup ko dekh raha tha uski sunhari Aankhen Roshani ki kiranon ke baiez Jalte bujhte diye Jaisi lag rahi thi

"Is Jivan Mein Faris wald taheer ghazi apni biwi zartasha ghazi or apne soutele bhai waris ghazi ke katal main mujrim sabit nahi hota "

" isliyela adalat Faris ghazi ke upar Lage Tamam charges mustarib Karke police ko Unki Ba izzat Rihai Ka Hukum Jari karti hai adalat Is case se original Samaj se faris ghazi ko Hamesha ke liye is aroob se mulzim ko Bari karti hai "

Khilji Sahab aur unke Sathi Khade Hue They or wo ab ek dusry k Gale mil rahe the

Mukhtalif ki kursiyon par bathe log
Shok bhi they or baddil bhi

Khamoshi majduri hui thi jaj sahab ab Faisla Suna kar uth kar ja rahe the aawajen Buland ho rahi thi

Aise Mein Khilji Sahab Ne ek dam use dhundhna Chaha to Dekha voh chupchap Kamrae Adalat se bahar ja raha tha

Uske Piche lapke Unka Chehra padhte jazbat se damak raha tha Rah Dari Mein unhone use Ja liya sipahiyon ki mayyaat mein ja raha tha magar usko Hathkari Nahin Lagai Gai thi

Wo uske Gale lage or bola
"Ghazi Mubarak ho Saadi ne bahut mehnat ki tumhare case ke liye Tumhen bahut Mubarak Ho ki tum Reha ho gaye ho
Kanoon ke tahat ab kabhi bhi in do katlo ka mukadma Tumhare Upar Nahin chalaya jaega"

"Afsos"

Usne halka sa sar jhatka Uske Chehre per Sadgi thi

"do police Walon Se jhagara Hua tha Mera abhi unko Sabak sikhana tha lekin ab reha Ho Gaya Hun to ye Nahin Ho sakega Kuchh Din mil Jaate to Unki tabiyat acche se saaf karta"

Khilji sahab ne afsos sey sar jhatka

"Tumhe jail ne kiya bana diya hai faris ghazi tumhe larayi jhagre ke alawa kisi cheez ki parwa he nahi tumari to zaban bhi C-class kaidion jaisi ho gayi hai faris"

"Lehh..To C-class main he to tha main"

Khilji Sahab Ne bahut se sakht Alfaaz andar utare or bole

"okay lekin ab tum reha ho gaye ho ab Tumne apni zindagi Mein Koi jaldbaji Aur bevkufi Nahin Karni ab yeh badmashon wale kam Chhod Do Sharif aadmi ban kar raho Jaise society Mein Raha Jata Hai Tumhare Khandan Ne bahut Bhag Daur Ki Hai Tumhare Liye ab unko Apni Taraf se pareshan mat karna"

"Achaa.. " usne laparwahi se kaha or idher udhar dekhne laga

"Ab yahan se nikal kar koshish karna koi achi job dhoondho koi achi si larki dekh kar use shadi Karo or pursakoon zindagi guzaro bahar ki zindagi jail ki zindagi jaisi nahi hai faris ghazi bahar tum yun he bat bat par har kisi ki haddi pasli nahi tor sakte ab Tumhen apni indagi ko sanjida Lena hoga"

Phir ruk kar usy dekha

" kuch pucho ge nahi apne case ke bare main..? "

Faris ne sanjeedgi sey unhe dekha

"Aapko fees milli ya nahin "

Khilji Sahab Ne Goya Bura man kar uska Chehra Dekha Jo bilkul Sapat tha
Jaise Kisi baat ka koi Asar Na Hua Ho is se pahle ki voh Kuchh Kahate Hain unhone ek dam Kuchh mahsus Kiya Jaise Lamhe ke liye Kuchh Badla tha

Faris ki Nigahon ka Rukh unke kandhe Ke Piche kisi ko dekh raha tha aur uski Aankhon Ki sari kaifiyat Badal Gai Thi

Khilji Sahab Ne Palat kar Dekha rahadari mein bohut se log Chalte ja rahe the unmen voh bhi thi

Ghoongraly balon wali prosecutor Jiski naak Mein hire ki ek long damak rahi thi

voh 2 auraton ke sath Sidhi Chalti ja rahi thi Faris ke kareed Se Gujari to Nigah Uthi uski Aankhen Bhuri Thi Aankhon Se Mili phir wo agy bar gyi

Uska Chehra us Ek Pal Meinbilkul badal gaya tha jaise voh Koi Aur Insan ho lekin agale hi Pal voh Wapas Vaisa hi ho gaya aur Sar Chatak kar dusri simt mein ho liya

Khilji Sahab Ne bahut dafa UN donon ko Rah dariyon aur Barando Mein Ek dusre ke pass se Gujarte Dekha Tha Har dafa yeh Ek Lamha Jarur aata tha.

__________

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Όπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα