Chap.22

98 4 0
                                    


Raat Jara gehari Hui to use Chhoti Si market ki dukanen band Hone Lagi ab bas Chand Battiyan Roshan thi Dur Ek Taraf ek darakht ki OT Mein Chhoti Si gadi Khadi Thi dashboard per Khaki fula Hua Lifafa Rakha tha driving seat per Baithe saadi usne Kalai per Bandhi Ghadi Dekhi aur FIR Piche Dekha

Ird gird koi nahin tha tabhi uska mobile Baja usne use Samne Kiya To Neeli Roshani Chehre per parne Lagi block number calling likha a raha tha saadi Ne uthakar ehteyat se "hello" Kahan FIR dusri jaanib se Awaaz ayi

Jisi sunkar saadi ke Jaise ashab Dhile Pade

"ji Boss kaisi rahi conference "

"Tumne bahut acchi chiz miss Ki Hai isse zyada Aham Kuchh Nahin Hona chahie tha "

Usne FIR Piche mudkar Dekha

"Khair conference ka sunayen "

"Tum jante ho Aadha Waqt unko yeh baten karne mein Gujar jata hai ki theek hai hamara Koyla andthrasite Nahin Hai Magar Ham keh bhi nahin Rahe ki voh anthrasite hai main man rahi hun ki vah lekinnight hai aur Hamare ilake Mein Sardiyon Se Dave fossils isse Behtar koyle Mein tabdil Nahin ho sakte vaise bhi aur Agar"

voh Ravani se bolati Hue Ruki

" Pata Hai Saadi Aaj Mujhse Kisi Ne Waris ke case ke bare mein poochha Uska Kya banaa Faris ko Saja Ho Gai Maine to itne arse se Tumse poochha Hi Nahin "

"aap Itni Bahadur nahin hai ke is case ko follow up Karen so is ko Mujh per Chhod De magar jo bhi banaa Hoga Ki case ka Main Hun dekh Lunga Khala Maine aapse ek Vada kiya tha ki mamu ko marne ke bad unke laptop files Ko Jisne Bhi Churaya Tha Main voh aapko Wapis La Dunga bas main us Bande ke laptop Tak pahunch jaaun Ek Dafa FIR main aapko bataunga ki mamu ko kyu Mara gaya"

" Kaun ? kiski baat kar rahe ho "

"ek ilzam Ne Faris mamu ki zindagi ke 4 Saal Le Liye Main Bina Saboot Kisi per Ilzaam Nahin Lagana Chahta Saboot ke bad bataunga"

" Itne saal Ho Gaye saadi Kyon Pade Ho is case Ke Piche khatm karo Allah Ke Hawale Karke Chhor Do "

" Kaise chhor du? Mere Khandan Ke Do log Mare Gaye Meri phopho ki zindagi Barbad Ho Gai main UN Logon mein se nahin hun jo Katla ko maaf kar dete Hain Allah farmata Hai Kasas Mein Tumhare Liye zindagi hai aur mere Khandan ke Baki Logon ki Jindagi Kasas mein hi hai main to barabar Ka Badla Lunga Jisne yeh Kiya Hai voh Jaan Se Jaega bas
Achcha Mujhe Jana hai bye "

ek dam se usne phone band Kiya

Front seat ka darvaja Khol kar Ek farbari mayal adhed Umar shak sandr baith raha tha saadi Khamoshi or Sanjeedgi Se Samne dekhne Laga

us shakhs Ne Talkhi se saadi Ko Dekha

"maine usse Bari Kar Diya Hai Ab voh do Jo Tumne dena tha "

Saadi ne Khamoshi se dashboard se khaki Lifafa uthakar unhen thamaya

justice Sikandar Ne andar jhanka Chehre per Majeed kadvahat faili Kan ki loven surkh Pari

" Mere bare mein agar yeh gand Bahar Nikala To...? "

Barham or gusse se unki Awaaz kampane Lagi saadi ne gardan Mod kar unko Dekha or bola

"agar aap mujhe jante Hote To andaza Laga Lete Ki Main Ek shakhs ki zindagi bachane ke liye aapke Khandan ke 5 Afrad ki zindagi Barbad Nahin karunga Main is had Tak Kabhi Na Jata agar aap meri baat sun lete main aaya tha aapke pass justice Sahab Maine Aapki minnat Ki Thi Ki Faris ghazi be gunnah Hai Magar aapne Meri Nahin Suni Thi Hashim ka Paisa Har Jagah bol raha tha mere pass Iske alava Koi Rasta Nahi Tha
I'm sorry

Saadi ne beniyazi Se sorry keh kar Shane uchkaye

"bakwas mat karo Mujhe Batao tumhare pass iski Koi copy hai ya nahi? "

"ho sakta hai mere pass iski copy Ho Kyunki Main Nahin Chahta faris ghazi ko FIR is mukadme Mein Dala Jaaye to Behtar Hoga Ki aap bhi end per Khyal rakhen Aur Main bhi end per Khyal rakhunga Ab aap Ja sakte hain "

Voh To Jaise rukna hi nahin Chahte the Sar per topi aur gardan ka muffler durust Kiya Taki Shanakht na Ho Paye aur bahar nikal gaye

Saadi Ne Halke se kandhe uchka Kar car start kar di

Kasre kardar per Raat Ki tarikh ki siyaf badalon ki tarah Utri hui thi Jo gehre pure shrakhton se lade Ho Aise Jaise bas abhi Barsane ko taiyar hon
Aur na bhi Barse tab bhi Unki khofnak Garaj ki awaz dur dur Tak Sunai Deti ho

Aise main faris Ghazi sabzzar Mein Apni Aennexy ke Samne Khada tha
Yah Jagah Hashim ki Balkani se saaf Dikhai deti Thi do manjila Aennexy Jo bilkul Khamosh Veeran si thi

Bahar se Bahar se hat saal paint hoti Thi khushnuma aur nai Si Lagti Thi Magar Andar Se Banjar ho chuki Hogi voh Jaanta tha Chabi Uske pass Nahin Thi use jarurat bhi nahin Thi voh Kadam Kadam chalta baramade Mein Aaya Aennexy ke darvaje per Ruka Mur kar Ek Khamosh aur andher sabzazar ko dekha

Kardars Ghar per Na The aur jo the voh so rahe the voh Wapas Ghuma aur Jhuk kar panjon ke bal zameen per Baitha

Jeb se hath Bahar Nikala To usmein Patli Si tar Thi usne tar lock ke andar Dali aur use mukhtalif javiyon per ghumata Raha 123456 click ki awaaz si ayi aur lock khul gaya

Wo taar Jeb Mein dalkar Utha Aur darvaza khola Aennexy andher Veeran Pari Thi Faris andar aaya usne Koi Batti Nahin Jalai Kadam Kadam chalta Aage Aata Gaya daro Deewar Mele se lagte the Veeran aur Makdi ke Jalo se pur sofa per Chadar Pari Thi fiza Mein zard Ki Dabi Risht Thi

voh andhere Mein Vahi Khada Raha Yun Hi gardan Mor kar Veeran najron se barande ko dekhne Laga Jo Khule darwaze ke bais Najar a raha tha

*yaad*
______________________________________

Faris ghazi apko 2 katalo ke jurm main girftar Kiya jata hai

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now