Chap.15

78 7 0
                                    

Is ke darmiyan bangle ke naam ki badi si Khirki dhup Mein Chamak rahi thi Sheesha Aaina banaa lawn ka Aankh Sikha raha tha shishe ke sath muh laga kar dekho to wo thaki thaki si apna saman uthati kamre main dhakhil ho rahi thi
Darmiyan se Mang nikal kar ghoongraly Baal Catcher Mein half Bandhe voh jhulti lat kan Ke Piche karti kitchen ke darvaje Tak gai

"sadakat khana taiyar hai? "

"ji Baji bas roti dal raha hun "

"FIR khane ke bad saadi ki taraf Jana Ek kam hai "

Lounge Mein wheelchair per Kitab parte Bare Abba Ne be ikhtaiyar uski Taraf Dekha voh Wapis a rahi thi

"Din kaisa Guzra Tumhara"

Unhone Mamool ka Sawal kiya

"Bas Roj Mara ke kam the "

voh sofe per baithkar juton ka strap kholti Hui boli

"Samaaj kaisi rahi? "

"Hashim kardar ka client tha kaisi ho sakti thi "

Abba ke Kitab per Jhuke Chehre per na gavari ubri

"Har corrupt aur gunnagar admi usi ka client kyu hota hai "

"Wo ek Acha defence lawyer hai usko Gunahon ki defence Deni Aati Hai"

Wo Catcher utaar kar baal jure main bandne lagi

"Mujhe Toh sakht Na pasand hai intihai Makkar aadmi hai "

"so To hai "
Zumar ne han ki

Hare Abba Ne Kitab pare Karke uska Chehra Dekha

" Saadi Se Kya Kam Hai "

" Hashim ne apni beti Ki Saalgirah ka card diya tha Saadi Ke Liye
Vahi dena hai "

Wo normal sa bata kar Remote uthakar channel change karne lagi

"To Tum De Aao"

unhone ek dam Itni umeed aur Itni mehnat se kaha ki
zumar Ne be ikhtaiyar unkodekha

" main na bhi jauon to koi farak nahi parta main us se naraz nahi hun "

"To chali jao na usko saalgira he wish kar Dena "

Zumar ne unki aankhon main dekha wo udaas Nazar a rahe they
Uske Dil Ko Kuchh hua

"Voh Chhota Hai Tum To Bari Ho Agar usse Koi Galti Hui Hai To Tum maaf kar do voh Tumhari Bimari mein tumhare sath nahin tha vakai yeh uski Khata thi "

"Main kab ka maaf kar chuki main uske khilaf Bura Nahin Soch sakti vah mera beta hai Abba "

"to card Tum Khud De Aao zindagi Ka Kuchh pata nahin Hota Kaun kab chala jaaye aur dusre ko sari zindagi pachtava hi Rahe "

voh Bina Kuchh kahe bagair uth kar chali gayi

Abba dukh se usy jate dekhte rahe
Or jate jate
wo sadakat ko awaz deti gayi

"Meri roti mat banana "

Or Abba aur dukhi ho gaye

Ab vah khana khae bagair Kamre Mein Band Ho Jayegi

10 15 minut bad voh kapde Badal kar fresh hokar Kamre se Nikli to
unhone chonk kar use Dekha

"khana Nahin khana "

" kya aapka Pota muje khana bhi nahi puchega? "

Aam se andas Mein Sanjeedgi se kehkar usne mez se card uthaya aur pars kandhe per Dala

Abba jaha the Vahi Reh Gaye
Aankhon Mein Dami Aur Be yakeeni ubhar kar madoom hui Aur uski jaga khushgawar tasurat ne le li
Jaise koi Khwab Mein Aankh khulne ke dar se sahi se Kuchh Bhi Na Ho Paye

Par ek dam Unka Chehra Bujha

" kya Tumhen Pata Chala Ki Faris reha ho chuka hai ?"

Zumar Thandi Sans Lekar
darvaje se palti

"agar aap yeh Kehna chah Rahe Hain Ki Main Saadi Se yeh poochhne ja rahi hun ki Faris kaise reha Hua To Aisa Nahin Hai Main Itni straight forward hun ki agar Mujhe usse Kuchh puchna Bhi Ho To Main 4 minut ke call Karke tamheed ke bagair puch sakti hun
aur abhi hashim ne Mujhse ek ehsaan manga hai or main use Vahi dene ja rahi hun "

Zumar Usi Sanjeedgi se kehkar bahar nikal Gai

abba ki Chehre per Khush gawar HaiRat ne le li

sadakat bhi Bhag kar chaukhat Mein a Khada hua tha aur ab unhi hairan Magar mustfaRaat nazro ke sath unko dekh raha tha

______________________________________

Yahi hai jabr
Yahi hai ikhtaiyar ka mosam
______________________________________

Don't forget to vote lovelies!

❣️

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now