Chap.10

161 9 5
                                    

Uski rehai ki khabar jab hashim ko mili tab wo koridoor main khara kisi sey fhone pay bat kar raha tha usne Kamal e zabd se Apne kadve Hote Hue tasurat Chhupa Liye
voh abhi Itna masroof tha ki ek dam react nahin kar sakta tha
Albatta usne ye soch liya k agar ismein saadi ka koi Hath hai to use hisab Dena hoga

Phir usne apni mutwajja zumar par ki Jo rahdari main file ke safy palat to Tej Tej Usi Ki Taraf a rahi thi

Ek Maumr Khatun aur ek Dupatta aorhe naujawan ladki bhi Uske Humra thi

Hashim corridor ke sire per usse Mila zumar uske salam ka jawab dekar Aage Holi

voh Bina Kuchh Kahe Sath chalne Laga ye court ke darwaze tak ka safar Khamoshi se cut jaata

Agar Hashim Ki Kisi Baat ke Jawab Mein voh naujawan bigre tasurat se Yeh Na Kwhta

" unhen Mera shukr Gujar Hona chahie ki main unhe ye rakm ata kar raha hun warna ye Court mein Mujhe rapist sabit nahin kar sakte the "

Sath hi Dabe Dabe gusse main Ladki Ko Dekha Jo Zumar ke sath chalti ja rahi thi

Zumar ek dam ruki or ghoom kar us naujawan ke samne khari ho kar boli

"aapko Mera shukr Gujar Hona chahie ki maine aapko settlement Di Hai Varna Agar Ham trial per Jaate to aapko Maloom Hai Kya Hota "

Hashim ne abru se ladke ko Khamosh Rehne ka Ishara kiya

magar voh jo pahle hi bahut bure Mood Mein Tha voh bigra Sa bola

"main ba izzat Bari ho jata aur mujhe yeh paise Na Dene padteAur meri job"

muddai ladki ki maa talkhi se kuch bar barai Thi

Hashim Ne ladke ko Hath uthakar Khamosh Kiya or zumar Ko Dekhkar sanjeedgi se bola

"madam prosecutor main apko batata hu k agar ham trail pay jate to Kya hoga "
Alfaaz ki sanjeedgi ke bawajood
Hashim ki muskurahat barkarar rahi

"12 Sal kam se kam bhi 12 Sal case Adalat Mein chalega aur Kuch sabit Nahin Hoga Sana Ne Fareed ko Khud vahan Bulaya tha mere pass inke text messages ka record hai aur is Baat se Sana Inkar nahin kar rahi ki Unka Chhota Mota sa magar affair to tha main adalat Mein Safed ke Saboot pesh Karunga balki 10 Aise Logon Ko Bhi launga jinko is ladki ne zindagi Mein kabhi Dekha bhi nahin hoga aur voh quran per Hath Rakhe Kahenge ki yeh unke Sath bhi Yahi kar chuki hai main isko Adalat mein peshawar Aurat sabit Karke dikhaunga iska Khandan aur Mohalla isko darba bar Kar Dega Koi is se shaadi Nahin Karega aur 12 Sal bad Aakhiri peshi per Jab yeh case Har Jayegi to Iske pass na Shohar Hoga Na bacche isliye aapko vakai Hamara shukr Gujar Hona chahie ki Humne aapko settlement Di Hai "

Fareed ne fakhriya muskura kar hashim ko dekha

Sana Ki Mane Labon Mein Koi baddua badbadai Aur Sana ke Chehre Ka Rang Badal chuka tha Tumhara Halka Sa muskuraiye Aur nafsi Mein Sar Hila Diya Asal Mein Hoga yah Hashim ki Jab yah case file per Jaega To Main ise trial Tak Nahin rakhungi pahle mahine Mein hi main Puri story media per likh kar Dungi is Sham ke Akhbar ke Jitna case 9:00 baje ki khabron mein aaega 8 aur 10 baje wale show is case per baat karenge
Sana ko morning shows per Bulaya Jaega Jahan yah Mel Chau nest person ki Hawain ke sath baithkar film ki puri Dastan Sunai ki NGOs iske liye walk Karenge yah International seminars per Madhu Hogi NTR Mein tapka isko Farid ki Salah ke sath Nahin balki Ek Jarnail Ke Bete Ki Ek majdurum Ladki Ke Sath jaati banaa dega aur Tumhara"

Fareed ki taraf Rukh karte hue usne Baat Jari Rakhi

Tumhara Social circle Tumhen out kar dega Tumhara Boss Tumhari report per mashkuk Alfaaz likhega koi bhi ladki Tumse shaadi karne se pahle 100 dafa sochegi Kyunki Katil ko log Kabul kar lete hain par baladkare ko nahi aur 12 Sal bad Tum case Jeet Bhi Jao to tum bahut Kuchh Har Chuke hoge aur voh Hare Hue Rishte Tumhen Tumhara 50 hajar ke hair cut aur Dhai Lakh ke suit pahne Khada Vakeel Wapis Nahin lakar dega
So agar Mein Tumhari Jagah hoti to prosecutor Ke Samne Apne Munh se nikalne wale agale Alfaaz ko rok Leti

Muskurahat Mamuli Thi Aur Ek katili Nazar UN donon per dalkar voh Aage bar Gai

Fareed Ka Chehra Sana Sa Mukhtalif nahi tha

Albatta hashim ko Koi Asar Nahin hua tha voh kandhe Jara se uchka kar Uske Piche Ho liya.

__________

Don't forget to vote 👇.

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now