Chap.12

122 8 0
                                    



Hamara saadi / namal part 3:

Hashim ne darvaze par dastak di
Or handle sey darwaza khola
Andar office main pur sakoon khamoshi thi
Wo samne table par bathi tharmose main se ek cup chai dal rahi thi
Uske pas he files rakhi thi siyah jild wali or kuch or saman para tha

Zumar ne ek nazar hashim ko dekha or chini Dan uthaya

" mmm hmm.. mujhe pheeki chai pasand hai "

Hashim ne muskura kar kehte
Zumar ko Mana kiya
Andar Aya kusri kheenchi or
tang pay tang rakhi
kot ka botton khola
samne pari chai ki piyali uthai
or muh se lagayi

Zumar ne abru uchka te hue chini Dan wapis rakha or files ke safe palatne lagi

Hashim ne chai ke 2 3 ghunt bhare Or khushgawar muskurahat k sath bola

"So ham ab theek hai apas main"

" apko kiya lagta hai"

Zumar files pas Chehra jhukaye
Sanjeedgi sey boli

" Shayad nahi..... kyu ke jis tarha ap abhi bahar mere suit or hair cut ko bich Mai laien "

Hashim ne Zara se Shane uchkae

" Us pay Main sirf itna kahu ga ke ap bohot Mukhtalif kism ki khatoon hai "

Usne nigahe Utha kar sanjeedgi se Hashim ko dekha or boli

" agar aj ke bad apne kisi ko mere samne hirasa karne ki koshish ki to ham theek nahi honge is that clear..? "

Hashim ne muskura kar piyali se ghunt bharte hue zumar ko dekha

Uske ghoongraly baal aadhe kechar main bandhe they naak main hire ki long damak rahi thi or sukeri hui aankhon main thandi si berehmi thi

" main apni job kar raha tha phir bhi main mafi mangta hun... "

" Mangni bhi chahie " keh kar fir se files ki taraf mutwajja ho gayi

Kuch lamhe ke liye Hashim kuch na bola to zumar ne sar Utha kar usy dekha

" Mujhe yakeen hai ap yaha bas sorry karne nahi aye
apko koi favor ( aehsaan) chahie "

Files band kar ke wo piche ho kar Baithi

" kahien main sun rahi hun "

Hashim ne ek paper bag nikal kar aage rakha Zumar ne paper khola
or ek card bahar nikala

"Ap dubara shadi kar rahe hai..? "

Zumar ne Usi sard lehge main muskurate hue hashim se kaha
Wo halka sa hassa or bola

" meri beti soniya ki chahti ( 6th ) saalgira hai or ap invited hai "

Zumar ne card dekha wo ek dabbe main rakha tha kisi sheeld ki tarah
Sab kuch siyah or sunehra tha or samne bina riban ke badda band tha
Jisme pare card ke upar Yas or no ke agy jaga Khali thi

" Thank you hashim main koshish karu gi wada nahi karti....magar invitation or favor main
farak hota hai "

Usne card table par dal kar usi beniyaz or thande lehje main pucha

Hashim ne abru se paper bag ki taraf ishara kiya Zumar ne dekha
ke waha ek or card tha usne wo card
Bahar nikala or card par darj Naam
Parha : Saadi Yusuf and family :

Hashim ne gor se zumar ke badalte
Tasurat dekhe uski aankhon main takleef ubhri or koi saya sa lehraya

Or phir sanasha sa Kanata chhaa gaya

Zumar ne be tasur se andaaz main sawaliya nazro se Hashim ko dekha

"Aap ise courier Kar De Ya hand deliver "

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Où les histoires vivent. Découvrez maintenant