Chap.14

118 8 6
                                    

Wo us Imarat ke top Shandar aur kisi Shahdana Taur per Buland Khada tha voh floor or us office Ke andar Jawaharat Kursi per tek Lagaye Baithi Thi aur Bade shahdana tarike se tang per tang Rakhe Naram Si Muskurahat ke sath Samne Baithe Hashim ko dekh rahi thi
Jo Sar jhukaye mobile per Kuchh type kar raha tha

Piche nosherwa jhunjhulaya Hua tehal raha tha Kisi pendolam Ki Tarah
Daen se baen aur fir baen se daen

" Mujhe wazahat chahie hashim "

Jawaherat ne muskurate Hue use mukhatib Kiya

"Tum itne Bekhabar kaise ho sakte ho ki Uske reha Hone se pahle Tumhen Maloom bhi na ho"

"Main araji ke mukadmaat Mein mashruf Tha aur yeh sab Achanak Hua Hai"

Usne kandhe jhatakte hue kaha

"Wo Jaj ko mene dekh liya tha wo is Kam ke liye Pahle Se Raji kar liya gaya tha "

"UN Logon ki Itni haisiyat Nahin Ki shashi Jaj ko khareed saky "

"Jajis sirf kharide Nahin Jaate Unko majbur karne ki aur bhi bahut se tarike hote hain "

Nosherwa ghoom kar hashim ke samne a kar khara ho gaya

"Aur Agar Kisi Ne use jaj ko blackmail kiya hai bhai to voh saadi ke alava Koi Nahin ho sakta "

"Please nosherwa kya Ham Saadi Se Hatkar koi baat kar sakte hain "

Muskurati Hui Jawaharat Ki Aankhon Mein Ab sakht Tambhi thi

"Usne vahan 10 Logon Ke Samne Meri beizzati ki aur aap chahti hain main use bhool jaun? "

Hasbe adat nosherwa bharak Utha

"Tumhen waha nahi Jana chahie tha "

Magar voh hashim Ki Baat Nahin Sun Raha Tha

"voh Mujhe bata raha tha ki voh Mere Chalan ke mutaalik Jaanta hai jo England main hua tha wo samajta kiya hai khudko mummy main apko bata raha hu wo party main nahi aaega sun rahi hain ap"

"Main card de chuka hun sorry"

Hashim ne dono hath utha kar kaha

"Sheru saadi masla nahi hai wo party main aaega to dekh lu gi main usy apne bete ki bezzati ka badla lena ata hai mujhe "

Kehte hue usne agy hokar sheru ka hath narmi se dabaya or wo thanda par gaya

" masla faris hai main usko apne ird gird bardash nahi kar sakti kuch socho hashim "

Hashim ab kagez par kuch likh raha tha yakeenan wo bhi disturb tha magar comepose tha

" Maine usy ek dafa andar karwaya tha dusri dafa bhi karwa sakta hun "

"Wo Ek Dafa Bahar aata hai to dusri dafa bhi a Jaega To behtar hai ki tum uske sath Acha khelo voh Nahin Jaanta ke katal Kisne kiye they aur uske najdeek Ham uski wahed family hai "

Jawaherat ki awaz main gussa Khof sab kuch tha

"Voh Hamen kabhi bhi Pasand Nahin Karta Tha "
nosharwa gusse se Kehta Khirki ke pass jakar khada ho gaya

" Isliye behtar hai ki voh Humse Dushmani na rakhen Kyunki Bahar aane ke bad voh sabse pahle yeh janne ki koshish Karega Ki voh Sab Kisne karvaya tha"

"Hashim Sambhal lega aap Kyon fikar Karti Hain "

Hashim itminan se Kehta piche ho kar baith gaya

Maine tab bhi jo Kuchh Kiya apni family ke liye kya aur abhi apni family ko protect karne ke liye Mujhe jo bhi karna Pada Main Karunga apni family ke liye Kuchh Bhi karna Jurm Nahin Hota Agar Main waris ghazi ko Raste Se Na hatata to voh hamare khilaf cases Khol kar Hamen tabah kar sakta tha Aur voh zartasha Main Usko na marvata to is Katal ko Kabhi owner ke Ling ki Shakal Na De sakta Mujhe iske liye Afsos Hai Magar mere pass koi aur option nahin tha to Kisi Ko to jail Jana padta hai mujhe faris Se humdardi Hai Uske 4 saal zaya hue magar voh Intelligence Officer hai agar voh jail na Jata to Katil ko dhundhne ki koshish karta per Agar Maine Apni family ki hifajat karne ke liye usko Biji Rakha to Koi Jurm nahin kiya Zinda Salamat Hai Uska To Kuchh Bhi Nahin Gaya apnon Ko To Sab khote Hain Humne bhi dad ko Khoya tha beshak natural death Se Hi Sahi Magar Hamari indagi Mein Bhi dukh hai pareshaniyan hain mujhe Afsos Hai Un Sabke Liye Magar zumar ko Mera shukragujar Hona chahie ki maine use gavahi ke liye Jinda Chhod Diya voh theek hai zindagi Gujar rahi hai perfect To Nahin ho sakti na aap zindagi"

Hashim Ne Baat karte karte Zara se Shane uchka kar kaha

"bahut se Logon ki Jindagi Agar ek do ki Kurbani se Bach Jaati Hai To ismein Koi Burai Nahin main Faris ko Sambhal Lunga use Aane De mummy voh Kuchh Nahin kar sakta okay jazbati Hai gusse Mein Pagal Ho Jaane wala aadmi hai jail Mein reh kar voh Kitna Badla hoga Vaisa hi Badmash Hoga Aise Dushman ko to Insaan thaka thaka ki hi Maar deta hai "

phir Sidha hokar baithte Hue bola

" Ham Tumhare naye project ke bare mein baat kar lete hain Sheru "

aur nosherwa Ne Jaise karvi Goli Nigal li Wo be Dili se Kursi khinch kar Baitha

"Aur mere project ke Raste Mein rukavat Hai Khadi Karne Wale Bhi kaun hai bhai saadi aur uski Boss"

Hashim be ikhtiyar Hans diya

" Yaari ye tumhara aur saadi ka Kisi Ladki par jhagra To Nahin Hai "

Jawaherat ne Muskura kar sar jhatka aur bagor Sheron ke tasurat Dekhe Jo Mazeed Khafa lagne laga tha

"Shehreen Soni ko kab Ghar laegi "
Jawaherat Ne usi ko Dekhte Hue Hashim ko pucha

Sheru jaldi jaldi ek file uthakar dekhne Laga Magar uski gardan ki ubhar ne wali gilti waze Dikhai di thi

"Is Waqt Uska Kya zikr "

Hashim ne naak se Makkhi Udai aur Kam ki taraf Mutwajja Ho gaya

______________________________________

Jo Ranjishe Thi Jo Bahar Tha
Dil Mein Na Gaya
______________________________________

Don't forget to vote lovelies!

Love from Saleena ( Sidra)❣️

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now