Chap.18

102 6 2
                                    


saadi narmi se thahar thahar kar bol raha tha

"Anyways ab main chalti hu "
Usne Jaise Kisi Baat Mein dilchaspi Nahin li or uth khari hui

Haneen ne card chor diya or chehra phir se bujh gaya

Saadi chup ho gaya use laga jaise uski saaf goi ne use naraz kar diya

"Kuch der to baitho "

Nudrat israr karne lagi

Magar uska Kehna tha ki agale Hafte tafseel se party per sath Baithe ge

Saadi use darwaze tak chorne gaya
Wapis Aya to dekha haneen akeli baithi thi

"4 saal bad ayi or 40 mint bhi nahi baith saki "

Wo jaise muh main kuch bar barai

" Aaisa Nahin sochte haneen "

Wo jaise hurt hua tha

" main sochti hun ap bhul sakte hai main nahi apka Dil Bara hoga Mera nahi muje nhi bhoolta k jab hame phopho ki sab se ziyada zarurat thi wo hame tab chor gayi thi " Hamare mamu begunah the Magar phopho Ne unko gunahgar Mana aur isliye Aap bhi zere ataab aye Magar yeh Larai to aapki mamu aur phopho ki thi maine To Kuchh Nahin Kiya Tha Mera Kya Kasoor tha mujhe Kyon chora"

Bolte bolte uski Aankhon Mein aansu a gaye Saadi Ka Dil behad Dukha

"unhone bahut Kuchh loose Kiya Hai Sab Mein Unki sehat unki shaadi Unki zindagi Sab khatm Ho Gaya "

"to kya Maine Kuchh loose nahin kiya maine phopho ko lose kiya hai bhai in 4 Salon mein kitne Aise Din aye Jab Mujhe Unki zarurat phopho maa or behen donon se Hatkar Hoti Hai Meri to Koi bahan bhi nahin Thi Mera Bhi Dil Chahta Tha Main Unse bahut Kuchh share Karun voh Meri Baat Sune Magar Ab voh Hamari Parvah nahin karti unhone Hamen tab Chhoda Jab Hamen Unki zarurat Thi you know what bhai ab Ham bare ho chuke hain ab Hamen Unki zarurat Nahin Rahi main wo haneen Nahin hun jo unke jaane ke bad der tak Khirki Se Unki Rah takti thi ki Shayad vo Kuchh bhul gayi ho to Wapis Aaye Main Bhi ab Unki Parvah nahin karti"

usne Rukh Mor liya

Saadi Ne Kuchh Kehna Chaha FIR Khamoshi se bahar nikal gaya

Abhi bhej rahDari Mein Tha Ki Kisi ehsas ke tahat Wapis Aaya aur Dhire se launch ke andar jhanka

haneen Khiiki ka Parda Sarka kar Bahar dekh rahi thi Dur Sarak per Jaise Kisi Ko Talash kar rahi thi kisi ke bhul ke Wapis aane ka Intezar kar rahi thi

Saadi Ki Aankhon Mein udaasi Aur Labon per Muskurahat darai voh Khamoshi se vahan se hat gaya rahdari Mein Wapis Chalte hue usne Hath Mein pakre Siyah aur sunehre card Ko Dekha ek manzar uski aankhon main jhilmilaya

*Yaad*

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now